Lata Mangeshkar — paroles de Dhuan Banake Fiza Mein
La page contient les paroles de la chanson « Dhuan Banake Fiza Mein » de Lata Mangeshkar.
Paroles
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko
Khada hoon aaj bhi roti ke chaar harq liye (3)
Sawal yeh hai kitaabon ne kya diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko
Safed sang ki chaadar lapet kar mujh par (2)
Fasil-e-shaher mein kisne saja diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko
Main ek zarra bulandi ko chhoone nikla tha (3)
Hawa ne thaam se zameen par gira diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko
Dhuan banake fiza mein uda diya mujhko